LawRato

Ravi has taken money in cash some transfer in her frnd suresh account


19-May-2023 (In Cheque Bounce Law)
Sir main naam lakshya hai Mujhse ravi ne paisa thoda cash me liya aur thoda paisa apne frnd suresh ke account me transfer karwaya kuch samay baad jab Maine apna paisa vaapas maanga to ravi ne apne account ki 2 different amount & dates ki cheque mujhe dedi jisme single cheque bank me bounce ho gyi hai due to insufficient balance Maine 138 dhara me notice uske ghr bhej diya uske baad bhi usne ek bhi rupaiye abhi tak vaapas nhi kiya dusri cheque Maine bank me abtak nhi lagayi hai dono cheque ki last date & month May hai suresh ko jo paisa bheja hai account uska bank statement hai sirf kyunki usko ravi ke kehne pr bheja hai ravi aur suresh milkr fraud krte hai kuch logo ke dwara PTA chla hai ab main kya kru kaise mera Saara paisa vaapas milega aur dono cheque last month date may hai dusri cheque ka kya kru pls guide me how I can recover my money by ravi & sureshn( ravi ne police station me application daal di hai ki uska frnd suresh ne fraud krke Saara paisa liya hai )
Answers (5)

Answer #1
676 votes
agar aapke pas Ravi ka diya huwa cheque h or aapne notice bhej di h to aap Bina der kiye huwe ni act 138 ka mukadma dakhil kare kyoki ek bar time nikal gaya to aap kuch ni kar payenge ni act case me agar vipachi ne cheque diya to yahi sabse badi galti court manti h or aapka Paisa saif ho jayega or thode samay me aapka Paisa mil jayega.
Helpful? LawRato LawRato
Answer #2
570 votes
ji haan bilkul 110 percent apka paisa recover hoga apko dono cheque bounce krwane h or file bounce slip cheque ke sath court me 138 NI Act ka case darj krna h .
jisne apko cheque diye h usko court me ana pdega or apni bail bhi krwani padegi ydi court me nhi ata h to police usko uske ghr se utha kr layegi
Helpful? LawRato LawRato
Answer #3
564 votes
aapane jo bhi check abhi tak Apne Paas Rakha Hua Hai usmein se ek checkup Laga chuke hain ke pass Abhi Baki Hai last date my hai . dusre check ki last date Puri Ho usse pahle use bhi Bank Mein Laga De aapane jo pahle legal notice bheji thi uska Ek parivar sthaniya nyayalay mein Aakhir kar de Sath hi dusre check Agar Bounce ho jaaye to uske liye bhi pahle legal notice bhejen aur Samay pura hone per uski taraf se bhi parivar nyayalay mein dakhil kar de Jis Se nyayalay dwara aapka pura paisa mil sake Sath hi aapke mitron Ne Milkar agar aapke sath kis Kisi bhi Prakar ka kar rahe hain to uske liye UN per apradhik mukadma panjikrit kara sakte hain Adhik Jankari ke liye profile number per Sampark Karen
Helpful? LawRato LawRato
Answer #4
589 votes
dusre cheque ko bhi bank me dalkar bounce karwa lijiye. or uska bhi notice. bhej do. or pahle wale cheque ka case court me file kardo. jaldi hi apko paise mil jayege. warna court usko penalty ke sath dilayegi.
Helpful? LawRato LawRato
Answer #5
644 votes
Aapne dusre check ki last date kya hai, nahi bataya hai. Notice kab bheja tha yeh bhi nahi bataya hai. Apki amount kitni hai iss baat pe depend karega ki aapko case karna chahiye ya nahi karna chahiye. Ek quick solution yeh ho sakta hai ki aap ravi aur suresh ki f. i. r. kara de jald se jald.
Helpful? LawRato LawRato

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."