LawRato

Husband hitting and disowning me, taken the custody of children


27-Feb-2023 (In Criminal Law)
hello, sir mera nam durjesh verma hay mera pati mere ko marta hay or mere ko ghar se baher nikal diya hay or mere bete ko bhi mere se chin liya hay or ladki ko mujhe de diya hay. or ab mere ko rakhne se mana ker reha hay please help me
Answers (6)

Answer #1
911 votes
Aap unke against police complaint file kar dijiye. Ye Ek offence hai protection of women from domestic violence Act me. Aapke husband agar aapko maarte hain aur ghar se nikal diya hai, to aap ke paas yahi ek right hai and you can even ask for the custody of your minor son.
Answer #2
742 votes
You should file cases against your husband before different courts. One for claiming maintenance, one for custody of child and one for domestic violence act against your husband. You must consult a lawyer of your place of living.
Answer #3
774 votes
Purei ghatna ki complaint police me karey police aakar aapke pati ko tight kar degi, nahi to divorce and kharche ke liye apply karey. Contact lawyer for help. .
Answer #4
620 votes
Aap yeh sab ek kagaz mein pura vistrit likh kar police thana mein IPC 498a aur 406 ke tehet FIR karen. Aapko wapis garh pravesh milega aur maintainence paise bhi pati se milega. Aapko apne ladke kaa saathbhi milega. Yadi police FIR nahin karti hai to SSP ko turant report karen aur likhit complaint dein Aur FIR karaen. Aapka pati dabav mein aayega aur apne ko sudharne par majboor hoga. Ghabraen Nahin.
Answer #5
696 votes
Sabse pahle aap police station me ja kar complain kare. Ki aap ke husband ghar me gharelu hinsa karte hai. Police aap ke husband ko bula kar samjhati hai aur wo man jate hai to thik hai . Nahi to fir gharelu hinsa ka F.I.R. karwaiye. Yadi ye bhi nahi police karti to mujhse sampark kare.
Answer #6
530 votes
Ap kahàn rahte ho ye nai bataya. Waise apke husband ko koi kanuni adhikar nai ha ki wo apko apne sath Na rakhe. Agar wo jyada hi apko paresan kar rahe ha to apke pas di raste ha first ap woman cell NE ek application de do second ap apke District court me ek domestic violence act ka case apne husband ke khilaf daal sakte ho. For more information you can call me.

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."