LawRato

Wife Ke Mayke Baithne Ke Matter Me Police Help


21-Jul-2023 (In Family Law)
Sir,meri wife mayke me ja ke baith gyi usne bola 4 din me aaungi aur ab 2 mahine ho gye nhi aa rahi hai aur jhoothe case me wo aur uske parivar wale fasane ki soch rahe hain,kahti hai mai kabhi nhi aaungi sara blame mere aur mere parivar ke upar lagati hai meri maa Ghar me akeli hain aur wah bimar rahti hain bahut dino se ,meri aik 1.5 yr ki beti bhi mere sahit mera pura parivar chintit hai please ye batayen ki court jau ya police agar court jau to kya karu aur police me jau to kya karu.mai jald niptara chahta hu kyonki ham log bahut pareshan hain is mamle se.aik bar aur aisa kar chuki hai.
Answers (3)

Answer #1
923 votes
ke bad gai hai usne bola 4 din mein Ho Gaya Abhi Tak nahin a Rahi hai shaadi hai ki Beti hai Court mein jo police ke pass ki ham log pareshan hai chuki hai iske liye mujhe aapse discuss karna hoga tabhi ham aage aapko kuchh bata sakte hain
Helpful? LawRato LawRato
Answer #2
832 votes
यदि आपको लगता है कि आपकी अपनी नहीं आने वाली है उसके पीछे कोई अन्य कारण है या उसके घरवाले आपको दहेज के झूठे केस में फंसाना चाहते हैं आप माननीय न्यायालय में हिंदू विवाह अधिनियम के अंतर्गत धारा 9 का दावा फाइल कर सकते हैं जो कि दांपत्य अधिकारों के स्थापन से संबंधित है इसके अलावा यदि आप कोई दावा प्रस्तुत नहीं करना चाहते तो आप महिला थाने में एक प्रार्थना पत्र दे सकते हैं आपकी पत्नी को मेडिएशन के लिए बुलाया जाएगा और उचित कारण पूछा जाएगा कि वह किस कारण से नहीं आ रही है
Helpful? LawRato LawRato
Answer #3
851 votes
aap tatkal mujhse Facebook par sampark kar len mai apko problem ka sabse solid nipataara karwa dunga aap police ke paas bhool kar bhi mat jayeiaga kyon ki wo apke against Dowry demand ki aur matrimonial harassment ki farzi F.I.R. likh lenge. isliye aap ke matter ke hisab se Aap direct High Court se bhi instant remedy praapt kar sakte hain. tatkaal mujhse sampark karen
Helpful? LawRato LawRato

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."