LawRato

Married girl against parents, they want me to divorce her for dowry


30-Sep-2023 (In Family Law)
Sir, Maine 1 saal pehle ghar waalon ko bina bataaye intercast marraige ki thi aur jab maine ye baat ghar waalon ko bataayi to wo mujhe dara dhamka bhi rahe hai jis ladki se maine shadi ki hai use divorce dene ko keh rahe hai kyu 4 mahine pehle bare bhai ki shadi hui to unhone dahej liya tha. So ab wo chahte hai ki mai is ladki ko divirce de ke dusri shadi kar lu so unhe dahej mil sake aur nahi karne par dhamka bhi rahe hai bare bhai ki shadi mai jo dahej liye hai unhone uski ank statement hai mere paas.So please solvw my problem
Answers (3)

Answer #1
563 votes
Pahli baat to ye ki ap kya chahte ha apni shadi ko bachana chahte ha ya phir bade bhai ko mile dahej se problem ha. Agar ap apni shadi ko bachana chahte ha to apko clearly bolna padega or agar koi problem create kare to police me complaint bhi karni padegi. Or agar ap family ke sath ho to apni patni ko divorce de sakte ho.
Answer #2
586 votes
aap shadi nahi tod sakte hai.agar ghar wale apko dhamka rahe hai to aap iski shikayat ssp ko kar sakte hai aur yadi phir bhi nahi mane to aap ssp ki shikayat ki copy lagakar aik complaint case sambandhit nayayaylay me bhi kar sakte hai.,apki patni iski shikayat rashtriya mahila aayog mai bhi kar sakti hai jahan par sabhi pariwar walo ko bulaya javega aur unhai samjhya javega aur na manne par unke virudh kannoni karyawahi ki ja sakyi hai
Answer #3
596 votes
Darne ki jarurat nai hai ap ladki ke sath jake apne najdiki thane pe protection ke liye ek application dede aur darne ki jarurat nai hai aur apne court marriage kiye hai to aur b koi problm nai hai agar jyada dara dhamka rahe to ladki ko lekar alag jake rahiye jabtak apko accept na kar le aur apne najdaki thane me jake ek application dijiye aur protection mangiye aur us application me sari baat likh dijiye ga.

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."