LawRato

Mental Cruelty By Wife And Abnormal Behaviour


31-Aug-2023 (In Divorce Law)
Meri shaadi November 2012 Mai huae...meri wife ka behavior abnormal hai jaise bartan wash karne mai aur kapare dhoone Mai usko 2/3 ghante lag jaate hai, ek tarah ka safai ka phobia hai, ghar mai 15 -15din tak jharu nahe laghtee yaha tak ki office jaane per tiffin tak nahe miltaa, mera ek son hai 5yrs ka, even 4saal say hamara kisi taraha k Physical contacts nahe hai, Maine Unko mental DR ko dikhane ki koshish ki per woh nahee gayee, mera ko unhone mentally baht pareshan kardiya hai, baht baht gussa aane per apne ko khud maarne laghtee hai, Mai kya karu? Kya sec 13A ke according mental cruelty ka case daal sakta hon?? aur sath mai divorce ka bhe?? Yaa 7saal complete hone ka wait karu November 2019tak?? Aur 7saal k baad woh dahej pratha laga sakti hai ki nahe?? Mai en saare grounds per case file Abhi karu ki Nov 2019k baad please suggest &help in detail
Answers (2)

Answer #1
960 votes
7 saal k matlab keval dowry death mai hota h aapki wife kbhi bhi dahej ki mang ko lekar application de skti h
aapke pas 13 a aur 12 hm act mai opportuinity h but uske liye aapko hi ye sabhit krna hoga ki ye mental dis order se pidit h
for more information u can contact me
Answer #2
526 votes
Sar main aapka question padha aur is natije per phucha ki aap unhen divorce ab den yah 7 Sal bad unhen aapko maintenance Dena Padega aur Rahi Unki Bimari Ki Baat Tu aap is Aadhar per unhen divorce Nahin de sakte kyon ki Court Unki Bimari ka ilaaj karvane ke bare mein bolenge ki pahle aap Unka Ilaaj karvaya yah aapki jimmedari hai is main Mera vichar Hai Ki aap Koi Aur education Laga Ke Court mein divorce file Karen Yahi aapke liye uchit rahega

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."