LawRato

1 lakh ruppeya ka cheque diya gaya tha jo bounce ho chuka h 5 montsago


25-May-2025 (In Cheque Bounce Law)
Kya ye paisa recover ho sakta h ? Aur isko recover karne me kitna kharch lagega
Answers (3)

Answer #1
594 votes
check bouns hone ke bad aap advocate ka opposite party ko notice send kiye ki nahi first iski jankari dijiye then aage ki process ke bare main bat karenge, because if aap notice agar send nahi kerwaye hoge tab uska alag process hai aur agar send kerwa diye the tab uska alag process hai
Helpful? LawRato LawRato
Answer #2
948 votes
Haan ye paisa jaroor recover ho sakta hai. Aur isme sabse pehle apko ek legal notice bhejna hoga usko aur uske 30 days ke andar ek cjm court me ni act section 138 ka case karna hoga aur uske baad wo case chalega jisme aapki gawahi aur 2 gawahi aur hogi aur uske baad court ke through aur registry ke madhyam se jisne apka paisa liya hai usko notice Kiya jayega appear hone ke liye agar wo appear hota hai to theek hai us samay usko apko kuch paise dene hoga aur agar nai hota hai to fir bailable warrant and non bailable warrant court ke through kiya jayega
Helpful? LawRato LawRato
Answer #3
582 votes
पैसा रिकवर हो जाएगा लेकिन चेक लेते समय कोई एग्रीमेंट बन हो जिससे साबित हो कि वह चेक किस परपस में आपको मिला है कानूनी प्रक्रिया में कुछ समय तो लगेगा पहले तो चेक बाउंस के समय से 30 दिन के अंदर में नोटिस भेजा जाए ताकि चेक देने वाला चेक बाउंस के संदर्भ में वह जवाब दे जा सके या नोटिस के बाद सेटल कर ले सामान्यतः नोटिस के बाद अधिकतर लोग कंप्रोमाइज कर लेते हैं।
Helpful? LawRato LawRato

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."