LawRato

MY NEIGHBORHOOD IS CONSTRUCTED IN MY LAND


16-Mar-2023 (In Civil Law)
Respected sir, My neighbour ka aur mera jameen dono ka aadha aadha ka hissedari h.. Mere padosi ne aadhe se adhik area me ghar bana chuka hai lagbhag 40 saal pahle aur mere ghar ka hissa kam hai. Ab mera padosi apna ghar todkar aur bada banwa rha hai.. Aur mera pahle se constructed khidki ka chhajja tod diya hai. Kya mai use uska ghar banwane se rok sakta hu? Stay le sakta hu jabtak jameen ka fir se measurement na ho jaaye??? Aur mere paas kya option hai?? Kya mai use banwane du? Aur baad me kabhi bhi barabari ke batware ke liye case file kr sakta hu???
Answers (1)

Answer #1
833 votes
Jaisa aap kah rahe hain ki vivadit Jameen mein aapke aur aapke Padosi ka Aadha Aadha hissa Hai Aur is Baat ke Saboot ke tor per aapke pass valid documents hain aur aapka Padosi aapke Hisse wali Jameen mein vidhi vrudh tarike se construction Karva raha hai Tu aap Civil Court mein permanent prohibitory injunction hathwa sthai nishedhagya ya stay ka mukadma partition ke mukadme ke sath Apne Kshetra ki adhikarita wali nyayalay mein ya Saksham nayayalay mein mukadma file kar sakte hain aur apne Padosi ko Gair kanooni tarike se ho rahe Nirman Karya ko rukwa Sakten hain aur aap sambandhit Thane mein bhi vivadit Jameen main ho rahe Gair kanooni Nirman karya ke sambandh mein complaint darj kar sakte hain aur Jaisa aap kah Rahe Hain Ki aapka Padosi 40 Sal se aapke Hisse wali Zameen per kabiz hai aur aapane Ab Tak Koi Aitraaz nahin kiya hai Tu is Dasha Mein pratikool kabze ka Niyam Lagu hoga aur is pratikool kabze ka fayda aapka Padosi Le sakta hai lekin Agar aapka Padosi aapke hisse wali Jameen mein purana construction tudvaker naya Nirman Karya kara raha hai to aap Aisi sthiti mein uprokt mukadma dakhil kar sakte hain
Helpful? LawRato LawRato

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."