LawRato

Need advice for maintenance


07-Jun-2023 (In Family Law)
Humari sister ko use pati kiraye ke ghar PR 6mahine se chale Gaye hai.or ab kehte Hai ki Meri behan ka kiss ke sath afair Hai,unka incom 70000 Hai wo talak chate Hai.do bachhe Hai 6or 4 sal ke.jab bat hui to ek 20 rs ke stamp pr Pancho dwara faisla hua ki 20000 pr month denge 1 sal tk koi kanuni karwai nahi karna hoga.pr wo nahi de rahe.uspr dono ka signature Hai kuch Pancho ka bhi,@Kya hum mantainace case or 498 file kr sakte Hai ya nahi,ya wo paper koi badha ho sakta hai@agr ha to mantenace minimum kitna mil sakta Hai.
Answers (4)

Answer #1
682 votes
ऐसे किसी भी स्टाम्प की कोई बहुत अधिक कानूनी मान्यता नहीं होती है, किन्तु पूर्ण जानकारी स्टाम्प पर क्या लिखा है, वह देखकर ही बताया जा सकता है।
दूसरी बात, आपकी बहन भरण-पोषण का केस करने के लिए पूर्ण रूप से स्वतंत्र है और उनके बच्चों को भी यह अधिकार प्राप्त है।
आपकी बहन एवं बच्चों को न्यूनतम भरण-पोषण लगभग 25,000 रूपए तक प्रतिमाह मिल सकता है।
आपकी बहन 498 ए का भी केस कर सकतींहैं किन्तु जो कुछ आपने बताया उससे मुझे नहीं लगता कि इससे कुछ फायदा आपकी बहन को मिलेगा ।
Answer #2
812 votes
Ap Puri trah se free ha maintenance case file kar sakte ha or sath me ek domestic violence act ka case bhi file kare. Apki sister Ko pura maintenance milega or koi uske sath cruelty nai kar sakta. Divorce sirf apki Sister ki sahmati se hi ho sakta ha. Agar uski salary 70000 rs ha to uska adha apki Sister ka HAQ ha Jo domestic violence act ke dwara le sakte ho. Jyada jankari k liye contact me.
Answer #3
672 votes
Sec 125cr.p.c me maintenance Ka provision hai.
Sister aur bachcho k liye ek Hi mukdme me party bana kar alag-alag se mag rakhiye aur bachcho ki padhai likhyi ki alag magkariye sab Ka maintenance milega.giga ki salri Ka saboot bhi sath lagayiye.
Sister k rahansahn ka status thoda uncha dikhaye jyada maintenance milega.
Minimum 5hajar rupye hai lekin maintenance ye aap k giga k source of income per depend kare ga.aap apne giga k Jo bhi income k source ho unhe jaroor dikhaye.
Panchayat k samjaute se koye phark nahi padega.
Answer #4
713 votes
Pahle to aap dhare 125 dand prakriya sanhita ke tahat maintenance ka case file kariye. Pancho ke dwara kiya gaya agreement valid hai aur aap is aadhar par dhara 125 ke takat 20000 mahine ka maintenance ka dawa kar sakti hain. patni par kisi purush se sambandh ka aarop lagana bahut bada matrimonial offence hai.

aise mamle mein pati ko sabooto ke aadhar par sabit karna hota hai kewal kahne se nahi, yadi aap is aadhar per maintenance mangti hain to bahut jyada maintenance diya jayege lagbhag 35-40 hajar kyoki court tab jyade maintenance lagayegi kyo ki tab deterrence rule lagu hoga.

Disclaimer: The above query and its response is NOT a legal opinion in any way whatsoever as this is based on the information shared by the person posting the query at lawrato.com and has been responded by one of the Divorce Lawyers at lawrato.com to address the specific facts and details.

Report abuse?

Comments by Users

No Comments! Be the first one to comment.

"lawrato.com has handpicked some of the best Legal Experts in the country to help you get practical Legal Advice & help."